Posts

Showing posts from October, 2017

sari duniya ke gham hamare hain

Image
sari duniya ke gham hamare hain sari duniya ke gham hamare hain JAUN ELIYA JAUN ELIYA

nayā ik rishta paidā kyuuñ kareñ ham

Image
naya ek rishta paida kyun karen hum JAUN ELIYA naya ik rishta paida kyuun karen ham bichhaḌnā hai to jhagḌā kyuuñ kareñ ham ḳhamoshī se adā ho rasm-e-dūrī koī hañgāma barpā kyuuñ kareñ ham ye kaafī hai ki ham dushman nahīñ haiñ vafā-dārī kā da.avā kyuuñ kareñ ham vafā iḳhlās qurbānī mohabbat ab in lafzoñ kā pīchhā kyuuñ kareñ ham hamārī hī tamannā kyuuñ karo tum tumhārī hī tamannā kyuuñ kareñ ham kiyā thā ahd jab lamhoñ meñ ham ne to saarī umr iifā kyuuñ kareñ ham nahīñ duniyā ko jab parvā hamārī to phir duniyā kī parvā kyuuñ kareñ ham ye bastī hai musalmānoñ kī bastī yahāñ kār-e-masīhā kyuuñ kareñ ham For Meaning Comment.